khwab mein Jism Ke Hisse (andamaha) dekhna

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke jismi aja-a jyada ho gaye hai to daleel hai ke us ke apne aur ahele bait jyada hoge aur agar dekhe ke us ke ajaa-a kat gaye hai ya jism se ghir gaye hai to daleel hai ke safar karega – aur agar dekhe ke us ne apna jism kaata hai to daleel hai ke apne ahal bait aur gawisho ko shahar me paragandah karega.

Hazarat karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi dekhe ke us ke jism se gausht ka tukada kat gaya hai to daleel hai ke usko kher aur nafa pahuchega' aur agar dekhe ke us ka azoo jism se judaa ho gaya hai to daleel hai us ke maal se koi aadami jor se kuchh lega aur agar dekhe ke apne jism se gausht kaat kar kisi murg ke aage daalta hai to daleel hai ke apne maal me se kisi ko kuchh bakshega.

Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas dekhe ke uske jism ka hissa usi se baate karta hai to daleel hai ke khalifat me rusawa hoga – farmane haq-ta-ala hai (wah kahenge ke hume isi ne goyaai di hai jis ne har ek cheez ko goyaai inayat ki hai.)

Aur agar dekhe ke us ke jism ka koi hissa kisi raste par jaa raha hai to daleel hai ke esa kaam karega ke jis par bharosa karega' aur agar dekhe ke us ke jism me se kuchh judaa ho gaya hai to daleel hai ke us ke khawesho me se koi shakhas safar par jayega aur agar dekhe ke uske aja-a dard karte hai to daleel hai ke bimaar hoga' aur agar dekhe ke parinda us ke jism se gausht ka tukada le gaya hai to daleel hai uska maal jor se lenge aur agar dekhe ke apne gausht ka tukada parinde ke aage daalta hai to daleel hai ke apne maal me se kuchh kisi ko dega.

Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke us ke aja-a me se koi ajoo tabaah ho gaya hai to us se daleel hai ke wah raah raasti par nahi raha hai.

Hazarat imul-fazal radi allah ta-ala anho ne farmaya hai ke mene aap hazarat SALLAH ALEH WA AL-E-WA-SALLAM ki khidamate aqdas me arz kiya ya rasullah mene ek bahut bure khwab me dekha hai – aap ne farmaya kya dekha hai? Mene arz kiya ke mene khwab dekha ke logon ne aap ke jism se ek tukada kaata aur meri god me rakh diya hai – aap ne farmaya – hazarat faatama radi allah anama ke haan ek ladka paida hoga jo tumhari gaud me badega – fir bachcha paida huwa yaani hazarat hussain radi allah ta-ala anhu' aur wah hazarat amul-fazal radi allah ta-ala anama ki parwarish me bade huwe.

SHARE THIS

Author:

Etiam at libero iaculis, mollis justo non, blandit augue. Vestibulum sit amet sodales est, a lacinia ex. Suspendisse vel enim sagittis, volutpat sem eget, condimentum sem.

0 Comments:

عجائب القرآن مع غرائب القرآن




Popular Tags

Islam Khawab Ki Tabeer خواب کی تعبیر Masail-Fazail waqiyat جہنم میں لے جانے والے اعمال AboutShaikhul Naatiya Shayeri Manqabati Shayeri عجائب القرآن مع غرائب القرآن آداب حج و عمرہ islami Shadi gharelu Ilaj Quranic Wonders Nisabunnahaw نصاب النحو al rashaad Aala Hazrat Imama Ahmed Raza ki Naatiya Shayeri نِصَابُ الصرف fikremaqbool مُرقعِ انوار Maqbooliyat حدائق بخشش بہشت کی کنجیاں (Bihisht ki Kunjiyan) Taqdeesi Mazameen Hamdiya Adbi Mazameen Media Zakat Zakawat اِسلامی زندگی تالیف : حكیم الامت اِسلامی زندگی تالیف : حكیم الامت مفسرِ شہیر مفتی احمد یار خان نعیمی علیہ رحمۃ اللہ القوی Mazameen mazameenealahazrat گھریلو علاج شیخ الاسلام حیات و خدمات (سیریز۲) نثرپارے(فداکے بکھرے اوراق)۔ Libarary BooksOfShaikhulislam Khasiyat e abwab us sarf fatawa مقبولیات کتابُ الخیر خیروبرکت (منتخب سُورتیں، معمَسنون اَذکارواَدعیہ) کتابُ الخیر خیروبرکت (منتخب سُورتیں، معمَسنون اَذکارواَدعیہ) محمد افروز قادری چریاکوٹی News مذہب اورفدؔا صَحابیات اور عِشْقِ رَسول about نصاب التجوید مؤلف : مولانا محمد ہاشم خان العطاری المدنی manaqib Du’aas& Adhkaar Kitab-ul-Khair Some Key Surahs naatiya adab نعتیہ ادبی Shayeri آیاتِ قرآنی کے انوار نصاب اصول حدیث مع افادات رضویّۃ (Nisab e Usool e Hadees Ma Ifadaat e Razawiya) نعتیہ ادبی مضامین غلام ربانی فدا شخص وشاعر مضامین Tabsare تقدیسی شاعری مدنی آقا صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم کے روشن فیصلے مسائل و فضائل app books تبصرہ تحقیقی مضامین شیخ الاسلام حیات وخدمات (سیریز1) علامہ محمد افروز قادری چریاکوٹی Hamd-Naat-Manaqib tahreereAlaHazrat hayatwokhidmat اپنے لختِ جگر کے لیے نقدونظر ویڈیو hamdiya Shayeri photos FamilyOfShaikhulislam WrittenStuff نثر یادرفتگاں Tafseer Ashrafi Introduction Family Ghazal Organization ابدی زندگی اور اخروی حیات عقائد مرتضی مطہری Gallery صحرالہولہو Beauty_and_Health_Tips Naatiya Books Sadqah-Fitr_Ke_Masail نظم Naat Shaikh-Ul-Islam Trust library شاعری Madani-Foundation-Hubli audio contact mohaddise-azam-mission video افسانہ حمدونعت غزل فوٹو مناقب میری کتابیں کتابیں Jamiya Nizamiya Hyderabad Naatiya Adabi Mazameen Qasaid dars nizami interview انوَار سَاطعَہ-در بیان مولود و فاتحہ غیرمسلم شعرا نعت Abu Sufyan ibn Harb - Warrior Hazrat Syed Hamza Ashraf Hegira Jung-e-Badar Men Fateh Ka Elan Khutbat-Bartaniae Naatiya Magizine Nazam Shura Victory khutbat e bartania نصاب المنطق

اِسلامی زندگی




عجائب القرآن مع غرائب القرآن




Khawab ki Tabeer




Most Popular