Sarab ki zameen us ki taaweel behuda ilm aur baat hai ki jis main nafaa hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki sarab wali zameen main muqeem hai daleel hai ki baatin ilm aur behuda baat main mashghul hoga aur agar dekhe ki sarab wali zameen se khata hai daleel hai ki baatil ilm se roti jamaa karega.
sarb
sarab al qufar (sarab)
1. us ko khwab main dekhna ayese baatil kaam karne par dalaalat karta hai jo pura nahin hoga.
2. jis ne sarab dekha aur us ko kisi cheez ki laalach hai jis ki woh aarzoo karta hai toh woh us cheez se mahrum hoga aur use haasil nahin kar paega.
3. auar khwab main sarab ka dekhna deen main nifaaq aur qufar par dalaalat karta hai ya duniya aur us ki zeenat ki taraf maail hone ki alaamat hai, aur baaz dafaa sarab ka dekhna us cheez ki khwahish aur aarzoo par dalaalat karta hai, jis ko woh nahin paa sakta.
4. agar dekhne wala gumra ho toh woh chhota gawah hoga ya biddati aalim hoga, aur baaz dafaa sarab us khwab par dalaalat karta hai jis ki koi haqeeqat nahin hoti aur baaz dafaa ye dalaalat karta hai ki jis taraf us ne sarab dekha tha us taraf koi makaru khudaa zaahir hoga.
0 Comments: