hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmay hai agar dekhe ki us ke paas pakezah sandooq hai daleel hai ki us ki aurat khubsoorat aur pakizah hogi aur agar purana sandooq dekhe toh us ki taaweel khilaaf hai.
hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main sandooq ka dekhna teen wajah par hai 1. izzat aur martaba 2. qadar aur martatba ki bulandi 3. aurat.
sandooq (baks)
us ki taabeer aurat ya khubsoorat bandi hai. aur sandooq ki dalaalat ghar par bhi hoti hai. aur beewee ya dukaan par bhi dalaalat karta hai aur ghair shaadi shuda ke liye shaadi aur faqeer ke liye ghana hai. aur briefcase safar ya safeer ki daleel hai.
0 Comments: