Jalab ala mutaa (ek jagah se dusri jagah saaman le jaane wala)
uski taabeer duniyadaar wa dhokabaaz qism ke aadmi se ki jaati hai jo amwaale jamaa karta ho. ek jagah se dusri jagah le jaane wale ki dalaalat ayese taalibe ilm par hoti hai jo chal phir kar ilm haasil karta hai aur deen main mazbuti karta hai. aur jaanwaron ke beypaari ko dekhna taabeer ke aatbaar se achha nahin hai. usi tarah jaanwaron ko chalane se rokna chaur par aur kabhi deen par dalaalat karta hai. aur daleel hai ki woh zaalim badshah hoga jo logon par zulm karega. bakri wale se uski bakriyon razamandi se mangane wale ki dalaalat ghulam faroosh par hoti hai aur bakriyon ki dalaalat ghulamon par bhi hoti hai aur uski dalaalat achhi shohrat ke haamil sahibe ilm maaldar aadmi par bhi hoti hai.
0 Comments: