1. us ki dalaalat gham aur takleef par bhi hoti hai aur kabhi tangi maash aur faqa par bhi dalaalat karta hai. aur khajoor ka sheera maal kharch karne par bhi dalaalat karta hai.
2. khwab main khajoor ka sheera peena maale ghanimat milne ki alaamat hai.
3. kishmish ka sheera peena sahibe istaadad ke liye us ke haan baarish ke aamdagi daleel hai.
4. agar ayesa nahin hai toh badshah ki taraf ki nisbat hogi.
5. kabhi ayese halaal maal par dalaalat karta hai jis main takleef ho.
6. khwab main khkud ko neend ya dusri koi nisha aawar cheez leta dekhna mushkil aur taab se milne wale maal par dalaalat karta hai.
7. hukumran ke liye sharaab peene ki tarah neend peena bhi us ki maazuli ki alaamat hai.; neez khajoor kharch karna ayesa mashtaba maal par dalaalat karta hai jis main gham o takleef ho.
0 Comments: