Khwab main kapoore ki taabeer manddarjah zail ashiya se ki jaati hai. zawjeen, dau bachche, dau sanaatein, dau darbaan, maal ki theli, saamaan ki gathri, sar paraste qareebi.
1. agar kisi ne dekha ki us ke hisse kaat diye gaye ya un main koi nagawar cheez paai gai toh us khwab ki taabeer ye hai ki dushman ka us par baqadar takleef ghalba hoga.
2. baaz ahale taabeer us ki taabeer ye batate hain ki un ki un se anaas ka anqtaa hoga un ke haan muzkar aulaad hi paida hogi.
3. aur baaz ne ye kaha ki sahibe khwab ko maal basabab deet milega.
4. agar kisi ne dekha ki us ke hisse bade ho gaye ya un main maamul se zyada taaqat aa gai toh us ki taabeer ye hai ki us ke dushman us tak na pahunchenge aur koi gazand nahin pahunchenge.
5. baaz ne us ki taabeer main kaha hai ki sahibe khwab ke haan betiyan zyada paida hogi.
6. agar kisi ne dekha ki goya us ke hisse kisi dushman ke haath main gaye hain toh us ki taabeer ye hai ki sahibe khwab par baqadar qabza rasaai karenge. baaz dafaa khasiyatein ki taabeer zanana rishtedaaron se ki jaati hai maslan dau bahnein, dau betiyon, dau beeweeyan, walidah aur khalah waghaira lihaza khwab main khaseeyatein main kuch hona mazkura afraad main se kisi tabqa main kuch hone ki daleel hai.
7. agar kisi ne khasiye kaat diye gai toh taabeer ye hai ki agar khwab dekhne wale ke haan dau mareezah hon toh un ka inteqaal hoga aur agar dau beeweeyan hon toh woh mar jaayengi ya us se juda hongi.
8. baswaqaat ruiyyat khasiyatein maal o daulat par dalaalat karti hai.
9. agar koi shakhs khwab main apne aap ko maqtu al khasiyatin paega toh daleel hai ki sahibe khwab maal ki wajah se matloob hoga us se dau hajaar ya dau sau raqam li jayegi. agar ayesa nahin hai toh us ki taabeer ye hai ki us ki nasal munqtaa ho jayegi aur rizaq main tangi hogi aur allah taala ki nemat us se chhin jayegi.
10. agar kisi ne dekha ki goya us ka baayan kapoora nikal liya gaya toh taabeer ye hai ki us ka bachcha mar jayega aur koi bachcha paida nahin hoga. agar kisi ne dekha ki us ne apna ek hissa apni khasiya apni khushi se kisi ko hiba kya aur woh us se nikal liya gaya toh daleel hai ki us ke haan ghalat tareeqe se bachcha hoga aur dusre ki taraf mansoob hoga.
11. agar kisi ne dekha ki us ke hisse aant utarne ki wajah se phule hain toh us ki taabeer ye hai ki woh maal paega aur us ka dushman us ko dhoka khayega.
12. baaz dafaa us ki taabeer kisi cheez ke chale jaane se bhi ki jaati hai.
13. aur baaz waqt khusiya ki dalaalat harkaat, mahnat koshish par hoti hai.
14. aur kabhi khasiya bichaune aur takiye par bhi dalaalat karta hai.
15. agar koi shakhs apne aap ko maadum al khasiya pae toh daleel hai ki woh sheer ya lomdi ke marz main mubtala hoga. baaz dafaa us khwab ki taabeer beewee ko talaaq dene ya bandi ko farokht karne ya aulaad ko gam karne ya kharjeen saamaan ki gathri aur betoh waghaira ke kho jaane aur maal ke maadum ho jaane se bhi ki jaati hai agar sahibe khwab wajjan hai toh us ka wajan karna maatal hoga. agar yahi khwab shaadi shuda shakhs dekh le toh daleel hai ki beewee ke auliya ko ya apne ahal wa aqaarib ko gam kar dega ya us ke martaba main kami aayegi.
0 Comments: