1. khwab main saman ladne ki gadi sahibe khwab ki zindagi ki tadbeer ki alaamat hai isliye ki us par bahut si cheezein ladi hui hoti hai jinhein woh ek jagah se dusri jagah muntaqil karti hai.
2. agar khud ko us sawari par sawar dekhe aur us sawari ke neeche bahut se afraad hon toh sahibe khwab bahut se afraad ki dekh bhaal karega ya us ki nek saleh aulaad paida hogi.
3. agar us ko musafir dekhe toh safar main susti ki alaamat hai.
4. ye gadi sawar ke liye ajmi badshah ki janib se izzat sharafat aur baas karamat hai.
5. agar dekhe ki us gadi par sawar hai aur gadi use le jaa rahi hai toh ayesa shakhs badshah ki itbaa karega aur us gadi par qudrat ke baqdar badshah se nafa haasil karega.
6. agar dekhe ki ayesi gadi par sawar hai aur saman uthaya hua hai aur us par us andaaz main nahin baitha ki jese deegar sawariyon par baita hai toh gham aur pareshani laa huq hone ki alaama hai.
0 Comments: