Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me jigar chhupa hua maal hai – agar aadami ka jigar dekhe to chhupa hua maal payega aur kharch karega – aur dekhe ke bahut sa badiya kiya huwa ya khaam jigar us ko milta hai to daleel hai ke khajana payega – gaaye aur bakari ka ka jigar bhi maal wa nemat ki daleel hai – aur ba-aj ahal tabeer ne farmaya hai ke jigar khwab me dekhna farzando par daleel hai – chunanche HAZARAT SALALLAHU TA-ALA WALEH WA SALLAM ne farmaya hai (humari aulaad humare jigar hai)
Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me jigar ka nikalna ya zaahir hona poshida maal par daleel hai jo jaahir hoga aur bahut sa jigar pukhata ya khaam khajaana aur ilm-e-gaib par daleel hai.
Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke jigar ka khwab dekhna 3 wajah par hai.
1. Farzand aur maal.
2. Dost jo bajaye farzand hoga.
3. Ilm.
Aur agar dekhe ke us ke ghar se jigar ko baahar nikala hai ya aag jigaro ko jalaati hai to daleel hai ke badshaah us ka maal khajaana lega aur agar yahi khwab koi aalim dekhe to daleel hai ke tamaam ilmo ko bhul jayega.
0 Comments: