1. Khwab dekha ke wah qur-aan ya hadees me warid alfaaz padh kar dam kar raha hai to tabeer hai ke wah bimariyo se mahfuz hoga aur gam dur honge – qur-aan wa hadees ke alfaaz ke alawa dusre alfaaz se dam karna jhut bolne dikhawe ke lie ilm karne ki alaamat hai aur agar sahib-e-khwab kaarigar hai to us me dhoka karega agar aalim hai to apne ilm ko logo se chhupayega ya azimat ko chhod kar rukhsat ko jaahir karega aur agar hukmaraan hai to galat faisala karega.
2. Khwab me kisi dusre ke dam kar wah pani ko pina daraajayi ilm ki daleel hai.
3. “Bismillah hirrah-manirrahim” ya “qur-aan” ke alaawa tamaam jhaarphoonk baatil hai
0 Comments: