1. gazz balisht aur sakht waghaira ki taabeer safar se ki jati hai aur safar ki miqdar gazz wa balisht ke miqdar ki mutabiq hoti hai.
2. khwab main deewar ya zameen ko balisht se napna kisi gaaon ki taraf safar karne ki alaamat hai.
3. zameen ko bazu se napna hajj karne ya jihaad ki saadat haasil karne ya taweel safar karne ki daleel hai.
4. khwab main apni ungliyon se kisi muhalle ya kamre ko napna us baat ki daleel hai ki sahibe khwab us jagah daakhil hona chahata hai ya usmaein daakhil hoga.
0 Comments: