khwab mein bail gaye dekhna

Gay


hazrat daaniyal alayeh alsalam ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki bail par betha hai aur bail us ki milk hai daleel hai ki badshah se kaam milega aur us se bahut nafaa payega khaas kar agar bail siyah hai aur agar bail zard hai daleel hai ki beemar hoga aur agar dekhe ki bail us ke ghar se nikla hai ki huq taala khair aur rozi ka darwaza kholega lekin us ka andwa peecha na chhodega aur agar dekhe ki us ke paas bahut se bail hain daleel hai ki us ke zair dast bahut se ghualm hain aur woh un ke kaam main koshish karega aur agar dekhe ki bail ne us ke seeng maara hai aur us ko ghar ke bahar le gaya hai daleel hai ki us ko ghulamon se nuqsaan pahunchega aur woh apne aap ko maazul karega aur agar dekhe ki us ke bail ke teen sar hain aur har ek sar par seeng hai daleel hai ki har ek seeng ke ewaj main us ka ghualm ek saal kaam karega aur agar us ke jism par aaza main se ek azu zyada dekhe daleel hai ki us ka kaam padhega aur agar nuqsaan dekhe toh us ki taaweel khilaaf hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main bail kaam hai aur us ka chamda kaam karne wale ki meeras hai aur bail ki dum aur khareed o farokht bhi aamil hai aur agar dekhe ki dum gahr main aai hai daleel hai bahut maal payega aur us ki rozi farakh hogi aur agar apne kuche se bail dekhe daleel hai ki sardar hoga aur us ke kaam main khair o barkat zaahir hogi aur agar dekhe ki us bail ne seeng maara hai aur gubaar diya hai agar sahibe khwab aamil hai toh maazul hoga aur agar sodagar hai toh nuqsaan par daleel hai aur agar badshah hai toh mulk se jaayega aur agar dekhe ki bail ne us ke seeng maara hai aur woh gira nahin hai daleel hai ki koi us par sharaf aru buzurgi payega aur us ke maazul karne main koshish karega.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki ek bail ko bailon main le kar zibah kiya hai aur baant liya hai aur bail aamil ke hain daleel hai ki kisi bade aadmi ko us kuche main se maareinge aur agar dekhe ki bail ko zibah kiya aur us ka gosht khaya hai daleel hai ki bail ke malik ko maar kar us ka maal lega agar dekhe ki us ne ek baighani gaye maar daali hai daleel hai ki koi bada aadmi us moza main marega aur agar dekhe ki mukhtalif gayein aur bail jable hon aur agar farba hain toh farakhi aur arzaani par daleel hai aur agar dekhe ki bail ahale hal main chal rahe hain daleel hai ki us ko be andaaz maal haasil hoga.

hazrat ismail ashaat rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki bail khwab main saal hai aur agar gaye ko dekhe daleel hai ki us saal main farakhi aur nemat hogi aur agar gaye dubli hai toh us ki taaweel khilaaf hai aur gaye ka gosht us saal main maal aur farakhi hai aur us ka chamda zakheera hai aur agar dekhe ki gaye ka doodh nikala hai aur peeya hai daleel hai ki us ka maal zyadah hoga aur agar ye khwab dekhe toh aazaad hoga aur agar darwesh dekhe toh maldaar hoga aur agar azaad dekhe toh logon se be niyaz hoga aur agar zaleel dekhe toh azeez hoga aur agar dekhe ki us ki gaye gabhan hai toh ummeed wari par daleel hai.

hazrat haafiz maabir rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki farba bail ka gosht khareeda hai daleel hai ki us saal mai maldaar aurat se shaadi karega aur agar dekhe ki gaye ka doodh nikla hai aur peeya hai daleel hai ki bahut se maal ko jama karega aur us main khud na khyega aur agar dekhe ki gaye us se baatein karti hai daleel hai ki us par aish farakh hogi aur agar dekhe ki gaye us ke paas aai hai daleel hai ki saal us par mubarak hoga aur agar dekhe ki gaye ne us se muh phera hai daleel hai ki woh saal us par bura hoga aur agar dekhe ki gaye par sawar tha aur gir pada hai daleel hai ki us ka haal mutagheer aur agar dekhe ki gaye ke saath jung karta hai daleel hai ki mulk main kisi aurat ke saath jung karega aur agar dekhe ki us zameen main gaye loot rahi thi daleel hai ki us saal main maal aur nemat payega aur agar dekhe ki gaye ne kaata hai daleel hai ki us ka ayaal us se khayanat karega aur agar dekhe ki gaye achanak us ke ghar main aai hai daleel hai ki achanak maal payega aur be gham hoga.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai khwab main gaye dekhna chaah wajah par hai 1. hukumat 2. maal 3. buzurgi 4. riyasat 5. neki 6. nek saal.

1. bail ki taabeer saalon se ki jaati hai chunancha kaale ya peele rang ka bail dekhna ayese saalon par dalaalat karta hai jis main khushi wa khushhali ho.

2. safed peshani wala bail dekhna saal ke shuru main shiddat par dalaalat karta hai.

3. aur belon ka safed hona wast saal main shiddat par aur seereen ki taraf safed hona aakhir saal main shiddat waqe hone par dalaalat karta hai.

4. mota bail ke khushhaali wa sar sabz hone ki alaamat hai.

5. kamzor laaghar bail qahat saali wa khushk saali ki alaamat hai.

6. bail gaye ka gosht khana usi saal maal haasil hone ki taraf ishara hai.

7. baaz ulmae taabeer ne kaha hai ki gaye ka gosht khana baqadar gosht aur baqadar akal martaba par dalaalat karta hai.

8. moti gaye mutaqqi wa parhezgari par bhi dalaalat karti hai.

9. seengon wali gaye nafarman beewi ki alaamat hai.

10. doodh wali gaye khair wa munafaat ki nishani hai.

11. agar sahibe khwab ne us ko duhna chaha aur us ne apne seengon ki madad se us ko roka toh ye alaamat hai ki us ki beewi us ki nafarmani karegi.

12. agar dekhe ki us ki gaye ko us ke alawah koi dusra aadmi duha raha hai aur gaye us ko nahin rok rahi hai toh ye alaamat hai ki woh duhne wala aadmi us ki beewi ke maamle main us ke saath khayanat kar raha hai.

13. agar dekha ki us ki beewi ne doodh duhne ke baad zaaya kar diya toh ye sahibe khwab ki beewi ke faasid hone ki alaamat hai.

14. kisi ne dekha ki goya woh khwab main gaye ke saath jama kar raha hai toh ye daleel hai ki us ko khushhali wa khush saali naseeb hogi.

15. bail ki antriyan maal daulat aur khushhali ki nishani hian.

16. khwab main apni gaye ko hamal ki haalat main dekhna beewi ke hamila hone ki taraf mayashshar hai.

17. khwab main apne aap ko gaye khareedata dekhna hasoole wilayat ki daleel hai.

18. kisi ne dekha ki ghulam apne aaqa ki gaye ko duh raha hai toh ye alaamat hai ki ye ghulam apne aaqa ki beewi se nikah karega aur duniya us ki taraf mansab hogi.

19. khwab main gaye milna ghair shaadi shuda ke liye mubarak beewi aur shaadi shuda ke liye rifaat aur hasool sifat ki alaamat hai.

20. kisi ne dekha ki khwab main us ko gaye ka doodh bataur hadiya diya gaya toh ye ek shareef nek seerat burd baari milne ki daleel hai ya us ki taabeer hasoole badshahat ya wilayat se ki jaati hai.

21. agar koi shakhs ek maaruf gaye par sawar hai toh ye ghunna ki alaamat hai aur gham se nijaat paane ki daleel hai.

22. kisi ne dekha ki gaye ne us ke ghar main daakhil ho kar seengon se us ko maara toh ye nuqsaan uthane aur ghar walon aur rishtedaaron se ghair maamun hone ki nishani hai.

23. gaye aur bail ke seeng dekhna maale azeem ki daleel hai aur ayese amar par faaiz hone ki alaamat hai jis ki wajah se logon main achhi shohrat ho jaye.

24. khwab main lakdi se gaye ya bail ko marna bade gunahgar hone ki taraf ishara karta hai.

25. kisi ne dekha ki gaye bail ne us ko zakhmi kiya toh ye baqadar zakhmi beemari main mubtala hone ki alaamat hai.

26. dekha ki gaye ya bail us par uchhal kar hamla karta hai toh ye sakht takleef pahunchne aur khatra e qatal ki alaamat hai.

27. kisi ne dekha ki us par bail gir gaya toh ye usi saal us ke marne ki taraf ishara hai.

28. kisi ne dekha ki woh kaale rang ki gaye par sawar hai ye dekha ki us ke ghar main kaale rang ki gaye daakhil hui aur use bandh diya toh saroor wa khair wa neki ki alaamat hai aur zawaal gham wa hazan wa wahshat ki daleel hai.

29. khwab main gaye dekhna sab ke liye khair ki alaamat hai.

30. bahut gayon ko jama dekhna azaraf ki alaamat hai khaal utari hui gaye dekhna rishtadaron main museebat ki daleel hai.

31. aadhi khaal utari gaye dekhna beti ya bahan ke museebat zada hone ki taraf ishara hai.

32. dekha ki gaye shahar main daakhil ho rahi hain aur ek dusre ke peeche aa rahi hain toh ye aane wale saalon ki taraf ishara hai agar woh gaayein moti hain toh aane wale saalon main khushi aur laaghar hone ki soorat main qahat saali ki alaamat hai aur agar kuch moti aur kuch laaghar hain chand saal khushi aur chand saal qahat saali hone ki alaamat hai albatta agar laghar pahle aai hain toh qahat saali pahle hogi warna khushhaali muqaddam hogi aur agar ikhatti aai hain ya mutfariq taur apr aur shohar main dariya maujood ho toh ahale shahar ko safar dar paish hone ki daleel hai aur dariya nahin hai toh ye dakhule fitna ki alaamat hai agar galiyon ka rang peela hai toh ye aamad amraaz par dalaalat hai.

33. agar dekha ki gaayein shahar main daakhil ho rahi hain aur un ke muh se hawa aur naak se aag nikal rahi hai toh ye dushman ke nazool aur qabiz hone ki alaamat hai.

34. haamila gaye khushhali ki alaamat hai.

35. kisi ne dekha ki us ne gaye ka doodh nikal kar pee liya agar sahibe khwab faqeer hai toh ye daulat payega ameer hoga aur izzat payega agar maldaar hai toh us ke maal main mazeed izaafa hoga aur izzat wa sharaf se maala maal hoga.

36. khwab main bachhda hadiya main milna paidaishe walad ki alaamat hai.

37. kisi ne gayon ki ek jamaat baghair charwahe ya malik ke aati hui ya jaati hui ya kisi muqaam main daakhil ya khaariz hoti hui dekhi aur un sab ke rang peele ya surkh hain toh ye us jagah main marz aa jane ki alaamat hai aur rangat ke lihaaz se mukhtalif hain toh beemari saalon ke aatbaar se hogi.

38. agar kisi ne dekha ki woh gaye par sawar hai toh ye sahibe khwab ki beewi ke marne aur us ki meeras ke maalik hone ki taraf ishara hai.

39. baaz ne kaha ye khwab nikah karne ki alaamat hai aur faqar se ghuna ki taraf baqadar sahate gaye muntaqil hone ki alaamat hai.

40. agar kisi ne dekha ki woh badshah ko gaye hadiya kar raha hai toh ye daleel hai ki sahibe khwab logon ko lakeer badshah ke paas jayega agar badshah ne us ka hadiya qabool kar liya toh us ki sifarish logon ke mutaliq qabool karega aur agar hadiya qabool nahin kiya toh badshah se mamun hone ki alaamat hai.

41. khwab main mareez gaye ka gosht khaye ya us ka doodh piye toh ye allah taala ki taraf shifa naseeb hone ki alaamat hai aur ghair mareez ka ye khwab dekhna maal o daulat aur deen milne ki daleel hai.

42. dekh ki woh gaye ki charbi nosh kar raha hai toh taabeer hai ki us ko khair o munafaat khushhali naseeb hogi.

43. khwab dekha ki us ko gaye ki khalein mil gaein toh daleel hai ki sahibe khwab badshah ya us ke karindon se maal haasil karega.

44. agar kisi ne dekha ki gaye us se li gai toh ye alaamat hai ki sahibe khwab badshah ke maal ka nuqsaan karega aur zair e taanwan aayega.

45. kabhi peele rang ki gaye dekhna meeras ki wajah se shar o takleef pahunchne ki alaamat hai.

46. kabhi gaye ka itlaaq zar kheez zameen par bhi hota hai.

47. nabi israil ki gaye ko dekhna qatal ki bina par fitna main mubtala hone ki alaamat hai agar ye khwab maan ka nafarman shakhs dekh le toh ye maan ki farman bardari akhtiyar karne ki taraf ishara hai.

48. kisi ne dekha ki gosht khane ki liye jangli gaye zibah ki hai toh ye alaamat hai ki kisi khubsoorat aurat ki taraf se us ko maal milega.

SHARE THIS

Author:

Etiam at libero iaculis, mollis justo non, blandit augue. Vestibulum sit amet sodales est, a lacinia ex. Suspendisse vel enim sagittis, volutpat sem eget, condimentum sem.

0 Comments:

عجائب القرآن مع غرائب القرآن




Popular Tags

Islam Khawab Ki Tabeer خواب کی تعبیر Masail-Fazail waqiyat جہنم میں لے جانے والے اعمال AboutShaikhul Naatiya Shayeri Manqabati Shayeri عجائب القرآن مع غرائب القرآن آداب حج و عمرہ islami Shadi gharelu Ilaj Quranic Wonders Nisabunnahaw نصاب النحو al rashaad Aala Hazrat Imama Ahmed Raza ki Naatiya Shayeri نِصَابُ الصرف fikremaqbool مُرقعِ انوار Maqbooliyat حدائق بخشش بہشت کی کنجیاں (Bihisht ki Kunjiyan) Taqdeesi Mazameen Hamdiya Adbi Mazameen Media Zakat Zakawat اِسلامی زندگی تالیف : حكیم الامت اِسلامی زندگی تالیف : حكیم الامت مفسرِ شہیر مفتی احمد یار خان نعیمی علیہ رحمۃ اللہ القوی Mazameen mazameenealahazrat گھریلو علاج شیخ الاسلام حیات و خدمات (سیریز۲) نثرپارے(فداکے بکھرے اوراق)۔ Libarary BooksOfShaikhulislam Khasiyat e abwab us sarf fatawa مقبولیات کتابُ الخیر خیروبرکت (منتخب سُورتیں، معمَسنون اَذکارواَدعیہ) کتابُ الخیر خیروبرکت (منتخب سُورتیں، معمَسنون اَذکارواَدعیہ) محمد افروز قادری چریاکوٹی News مذہب اورفدؔا صَحابیات اور عِشْقِ رَسول about نصاب التجوید مؤلف : مولانا محمد ہاشم خان العطاری المدنی manaqib Du’aas& Adhkaar Kitab-ul-Khair Some Key Surahs naatiya adab نعتیہ ادبی Shayeri آیاتِ قرآنی کے انوار نصاب اصول حدیث مع افادات رضویّۃ (Nisab e Usool e Hadees Ma Ifadaat e Razawiya) نعتیہ ادبی مضامین غلام ربانی فدا شخص وشاعر مضامین Tabsare تقدیسی شاعری مدنی آقا صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم کے روشن فیصلے مسائل و فضائل app books تبصرہ تحقیقی مضامین شیخ الاسلام حیات وخدمات (سیریز1) علامہ محمد افروز قادری چریاکوٹی Hamd-Naat-Manaqib tahreereAlaHazrat hayatwokhidmat اپنے لختِ جگر کے لیے نقدونظر ویڈیو hamdiya Shayeri photos FamilyOfShaikhulislam WrittenStuff نثر یادرفتگاں Tafseer Ashrafi Introduction Family Ghazal Organization ابدی زندگی اور اخروی حیات عقائد مرتضی مطہری Gallery صحرالہولہو Beauty_and_Health_Tips Naatiya Books Sadqah-Fitr_Ke_Masail نظم Naat Shaikh-Ul-Islam Trust library شاعری Madani-Foundation-Hubli audio contact mohaddise-azam-mission video افسانہ حمدونعت غزل فوٹو مناقب میری کتابیں کتابیں Jamiya Nizamiya Hyderabad Naatiya Adabi Mazameen Qasaid dars nizami interview انوَار سَاطعَہ-در بیان مولود و فاتحہ غیرمسلم شعرا نعت Abu Sufyan ibn Harb - Warrior Hazrat Syed Hamza Ashraf Hegira Jung-e-Badar Men Fateh Ka Elan Khutbat-Bartaniae Naatiya Magizine Nazam Shura Victory khutbat e bartania نصاب المنطق

اِسلامی زندگی




عجائب القرآن مع غرائب القرآن




Khawab ki Tabeer




Most Popular