Umar bin al khattab radi allah taala anho
1. khwab main hazrat umar radi allah taala anha ki ziyarat karne wala bedari main taweel al amar aur achha kaam karne wala aur huq go hoga.
2. kabhi un ki ruiyyat beytul haraam ki taameer karne ki khushkhabri hoti hai.
3. khwab dekha goya un ki mulakaat hazrat umar radi allah taala anho se hui aur un se musafah bhi kiya to daleel hai ki woh waeea duniya mukammal parhyeezgari, faraasat aur siyaanat ke saath paega is liye un ki shohrat tazkira ka muhtaaj nahin hai.
4. khwab main hazrat umar radi allah taala anho ko tarash ru dekhna kaam talaash karne aur umar bil maaruf aur nahi an al munkar karne par dalaalat karta hai.
5. kisi qahat zada ilaaqe main hazrat umar radi allah taala anho ko dekhna us ilaaqe main baaraane rahmat aur barkat wa fatoohaat ke barasne ki alaamat hai aur unko agar zulm zada ilaaqe main dekha jaaye toh us main adal ki farwani ki alaamat hai.
6. khwab dekha goya hazrat umar radi allah taala anho us ko dare se maar rahe hain aur dhamka rahe hain toh sahibe khwab ko chahiye ki jo ghalat kaam kar raha hai us se tauba kare.
7. kabhi un ki dalaalat us ke haan badshah ya kisi aalim ke aamad par hoti hai. kabhi un ko dekhna kher azeem ki daleel hota hai. aap hazrat umar radi allah taala anho ko khwab main dekhna deene huq ke qayaam, amar bil maaruf aur nahi an al munkar ki tarweej aur aalaam baajaane an ka ishaara hai kyon ki aalaam bajaan un ka sabab sab se pahle aap hi hain. kabhi aap ki ziyarat se dushmani ke baad suleh, bughz ke baad adaawat qudrat ke bawajood duniya se be ghabti bhi muraad hoti hai. agar sahibe khwab badshah ho toh fatoohat aur hasbe astaat aqaamat deen muraad ho tota hai. neez ayese badshah ko dushmnon aur munafiqon par targheeb wa tarbeeyat ke saath logon ka taawun haasil rahega.

0 Comments: